zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharon kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf main bhii kam thaa faraaGat use bhii thii
suntaa thaa wo bhii sab se puraanii kahaaniyaan
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhii thii
mujh se bichhad ke shahar mein ghul mil gayaa wo shaKhs
haalaanke shahar bhar se raqabat use bhii thii
wo mujh se badh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii

Writer