main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sir aaina mera aks hay pas aaina koi aur hay
main kisi kay dast talab main hoon to kisi kay hurf dua main hoon
main naseeb hoon kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai
meri roshni teray khad-o-khal say mukhtalif tu nahi magar
tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wahi hay ya koi aur hai
tujhe dushmano ki khabar naa thi mujhe doston ka pata nahi
teri dastaan koi aur thi mera waqiyah koi aur hai
kabhi laut aain tu poochna nahi dekhna inahain ghor say
jinhain rastay main khabar howi keh yeh rasta koi aur hai
ho meri riyazaat neem shab ko saleem subah naa mil saki
tu phir is kay mayni tu yeh howe keh yahan khuda koi aur hai

Writer