justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe
chaaNd ke ham_raah ham har shab safar karte rahe
raaston kaa ilm thaa ham ko na simton ki Khabar
shahar-e-naamaalum ki chaahat magar karte rahe
ham ne Khud se bhi chhupayaa aur saare shahar se
tere jaane ki Khabar dar-o-divaar karte rahe
vo na aayegaa hamen maalum thaa us shaam bhi
intazaar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
aaj aayaa hai hamen bhii un uDaanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum men be-baal-o-par karate rahe
Perveen Shakir