kabhi yuN bhi aa meri aaNkh men ke meri nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho
vo baDaa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhulne ki duaa karu.N to duaa me.n meri asar na ho
mere baazuo.n me.n thaki thaki, abhi mahv-e-Khaab hai chaaNdani
na uThe sitaaron ki paalki, abhi aahaTon kaa guzar na ho
ye Gazal ki jaise hiran ki aaNkhon me.n pichhli raat ki chaa.Ndani
na bujhe Kharaabe kii roshani, kabhi becharaaG ye ghar na ho
vo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho
kabhi dhoop de, kabhi badaliyaa.N, dil-o-jaa.N se dono.n qubool hain
magar us nagar me.n na qaid kar jahaa.N zindagi ki havaa na ho
kabhi din ki dhoop me.n jhuum ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yuN hi saath saath chale.n sadaa kabhi Khatm apnaa safar na ho
mere paas mere habib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dhaDkano me.n basaa lu.N mai.n ke bichhaDne kaa kabhi Dar na ho
Bashir Badr
Listen this Ghazal Online
Kabhi yun bhi aa meri ankh me ke menri nazar ko khabar na ho

Writer