Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
Raaz har rang mein rusvaa hogaa
Dil ke saharaa mein chalii sard havaa
Abr gulzaar pe barasaa hogaa
Tum nahin the to sar-e-baam-e-Khayaal
Yaad kaa koi sitaaraa hogaa
Kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
Koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
Ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
Duur baiThoge to charchaa hogaa
Zulmat-e-shab mein bhii sharmaate ho
Dard chamakegaa to phir kyaa hogaa
Jis bhii fankaar kaa shaahakaar ho tum
Us ne sadiyon tumhien sochaa hogaa
Kis qadar karb se chaTakii hai kalii
ShaaKh se gul koi TuuTaa hogaa
Umr bhar roye faqat is dhun mein
Raat biitii to ujaalaa hogaa
Saarii duniyaa hamien pahachaanatii hai
Koii ham-saa bhii na tanhaa hogaa
Ahmed Nadeem Qasmi