Haspania tu khun E musalmaaN ka amiN hai
Manind E haram pak hai tu meri nazar meN
Poshida teri khaak meN sajdoN k nishaN haiN
Khaamosh azaaneN E haiN teri bad E sehar meN
Raoshun thiN sitaaroN ki tarah in ki sanaaneN
Kheeme the kabhi jin ke tere koh O kamar meN
Phir tere haseenoN ko zarurat hai hina ki ??
Baqui hai abhi rang mere khun E jigre meN
Kyun kar khas O khashak se dab jaye musalmaN
Mana wo tab O taab nahi is ke sharar meN
Gharnata bhi deakh meri aankhoN ne walekin
Taskin E musafir na safar meN na hazar meN
Deakha bhi dikhaya bhi sunaya bhi suna bhi
Hai dil ki tassalli na nazar meN na khaber meN
Allama Sir Mohammad Iqbal

Writer