Juz tere koi bhi din raat na jaane mere
Tu kahaaN hai magar aiy dost puraane mere
Tu bhi Khushbu hai magar mera tajassus bekaar
Barq-e-aawara ki maanind Thikhane mere
Shama ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ki raat
Der tak rota raha koi sirhaane mere
Khalq ki beKhabri hai ke meri ruswaai
Log mujh ko hi sunate hain fasaane mere
LuT ke bhi Khush huN ke ashkon se bharaa hai daaman
Dekh Gaarat_gare dil ye bhi Khazaane mere
Aaj aik aur baras bit gayaa us ke baGhair
Jis ke hote hue hote the zamaane mere
Kaash tu bhi meri aawaaz suntaa ho
Phir pukaare hai tujhe dil ki sadaa ne mere
Kaash tu bhi kabhi aajaaye masihaai ko
Log aate hain bahut dil ko dukhaane mere
Kaash auron ki tarah main bhi kah saktaa
Baat sun li hai meri aaj Khudaa ne mere
Tu hai kis haal men ai zud_faraamosh mere
Mujh ko to chhin liyaa ahad-e-wafaa ne mere
Chaaraagar yuN to bahut hain magar ai jaan-e-'Faraz'
Juz tere aur koi Gham na jaane mere
By : Ahmad Faraz

Writer