sadgi par us ke mar jane ke hasrat dil mein hai
bas nahi chalta ki phir khanjar kaf-e-qatil mein hai
dekhana taqarir ke lazzat ki jo usane kaha
mainne yah jana ki goya yah bhi mere dil mein hai
garche hai kis kis burai se wale ba in hama
zikr mera mujh se behtar hai ki us mahafil mein hai
bas hujum-e-na umidi khak mein mil jayagi
yah jo ik lazzat hamari sai-e-behasil mein hai
ranj-e-rah kyon khenchiye vamandagi ko ishq hai
uth nahi sakta hamara jo qadam manzil mein hai
jalva zar-e-atash-e-dozakh hamara dil sahi
fitana-e-shor-e-qayamat kis ke aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shorida-e-galib tilism-e-pech-o-tab
raham kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai

Writer