har tamaashai faqat saahil se manzar dekhta
kaun dariyaa ko ulaTta kaun gauhar dekhta
wo to duniya ko meri diwaangi Khush aa gai
tere hathon men wagarnaa pahla patthar dekhta
aaNkh men aaNsu jaDe the par sadaa tujh ko na di
is tawaqqo par ki shaayad tu palaT kar dekhta
meri qismat ki lakiren mere haathon men na thin
tere maathe par koi mera muqaddar dekhta
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraaN ki tarah
kis ko itnaa hauslaa tha kaun ji kar dekhta
Dubne waala tha aur saahil pe chehron ka hujoom
pal ki mohlat thi main kis ko aaNkh bhar ke dekhta
tu bhi dil ko ik lahu ki buNd samajhaa hai 'Faraz'
aaNkh gar hoti to qatre men samandar dekhta

Writer