dost ban kar bhi nahin saath nibhaanewaala
wahi andaaz hai zaalim ka zamaanewaala
ab ise log samajhte hain giraftaar meraa
saKht nadim hai mujhe daam men laanewaala
kya kahen kitne maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai muNh pher ke jaanewaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniyaa
aaj tanhaa huN to koi nahin aanewaala
muntazir kis kaa huN TooTi hui dahliz pe main
kaun aayega yahaaN kaun hai aanewaala
main ne dekha hai bahaaron men chaman ko jalte
hai koi Khwaab ki taabir bataanewaala
kya Khabar thi jo meri jaan men ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laane vaala
tum takalluf ko bhi iKhlaas samajhte ho 'Faraz'
dost hota nahin har haath milaanewaala

Writer