na tu zamiN ke liye hai na aasmaaN ke liye
jahaaN hai tere liye tu nahiN jahaaN ke liye
ye aql o dil haiN sharar shola-e-mohabbat ke
vo KHaar-o-KHas ke liye hai ye niistaaN ke liye
maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyaaN ke liye
rahegaa raavii o niil o furaat meN kab tak
tiraa safiina ki hai bahr-e-be-karaaN ke liye
nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaroN ko
taras gaye haiN kisii mard-e-raah-daaN ke liye
nigah buland suKHan dil-navaaz jaaN pur-soz
yahi hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaaN ke liye
zaraa si baat thi andesha-e-ajam ne use
ba.Dhaa diyaa hai faqat zeb-e-daastaaN ke liye
mire guluu meN hai ik naGhma jibrail-aashob.
sambhaal kar jise rakkhaa hai laa-makaaN ke liye

Writer