baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi
le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
uski aankhon ne KHuda jaane kiya kya jadu
ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi
aks-e-ruKHsar ne kis ke hai tujhe chamkaya
tab tujh men mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi
ab ki jo rah-e-mohabbat men uThai taklif
saKHt hoti hamen manzil kabhi aisi to na thi
pa-e-kuban koi zindan men naya hai majnun
aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi
nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil
wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi
kya sabab tu jo bigaDta hai zafar se har bar
KHu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi