Apni aawaaz ki larzish pe to qaaboo paalo
Pyaar ke bol to honton se nikal jate hain
apne tewar to sambhaalo ke koi ye na kahein
dil badalte hain to chehere bhi badal jate hain”
main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahiin raat dhal na jaaye
mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
abhii raat kuchh hai baaqii na uthaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye
mujhe phuuNkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye
main banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiin saath aashiyaan ke ye chaman bhii jal na jaaye
isi khauf se nasheman na bana saka main ‘Anwar’
ke nighaah-e-ahl-e-gulshan kahin phir badal na jaaye
Anwar Mirzapuri

Writer