Ankh se door na ho dil se utar jaye ga waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga
itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga
tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga
dobtay dobtay kashti ko uchaala day don mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz” zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!

Writer