Ahmed Nadeem Qasmi

jab tera hukm mila tarke muhabbat kar di

jab tera hukm mila tarke muhabbat kar di
dil magar is pe vo dhadka ki qayaamat kar di

tujh se kis tarah mai izhaar-e-tamanna karta
lafz sujhaa to mani ne bagavat kar di

mai to samajha tha ki lauT ate hai jane wale
tune jakar to judai meri qismat kar di

ab ko dushman ke irado pe bhi pyaar ata hai
teri ulfat ne muhabbat meri aadat kar di

puch baitha hu mai tujh se tere kuche ka pata
teri haalat ne kaisi teri surat kar di

kis ko qaatil mai kahu kis ko masiha samajhu

kis ko qaatil mai kahu kis ko masiha samajhu
sab yaha dost hi baithe hai kise kyaa samajhu

vo bhi kyaa din the ki har vaham yaqi hota tha 
ab haqiqat nazar aaye to use kyaa samajhu

dil jo tutaa to kai hath dua ko uthe 
aise mahaul me ab kis ko paraya samajhu

zulm ye hai ke hai yaqta teri begana ravi
lutf ye hai ke mai ab tak tujhe apana samajhu

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
Raaz har rang mein rusvaa hogaa

Dil ke saharaa mein chalii sard havaa
Abr gulzaar pe barasaa hogaa

Tum nahin the to sar-e-baam-e-Khayaal
Yaad kaa koi sitaaraa hogaa

Kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
Koi tum se bhi hasin kyaa hogaa

Ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
Duur baiThoge to charchaa hogaa

Zulmat-e-shab mein bhii sharmaate ho
Dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

Jis bhii fankaar kaa shaahakaar ho tum
Us ne sadiyon tumhien sochaa hogaa