ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka
zindagii kahe ko hai Khvaab hai deevane ka
zindagi bhi to pashemaan hai yaha lake mujhe
dhundhatii hai koi hila mere mar jaane ka
haddiyaaN hai kai lipTi hui zanjiron me
liye jaate hai janaaza tere deevane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamashaa mere ghum_Khane ka
ab ise dar pe leja ke sula de saqi
yu behaknaa nahi achcha tere deevane ka
hum ne chaani hai bahut dair-o-haram ki galiyaan
kahi payaa na Thikana tere deevane ka
har nafas umr-e-guzashta ki hai mayyat “Fani”
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka
By : Fani Badayuni

ek muamma hai, samjhne ka na samjhaane ka
zindagi kahe ko, khawab hai dewaane ka...
zindagi bhi to pashemaa hai, yahan la ke mujhko
dhundati hai koi heela, mere mar jane ka...
tune dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang,
aao! dekho na tamasha mere gamkhane ka...
ab is daar pe leja ke sula de SAKI
yun behakna nahi achcha tere diwane ka...
dil se pahunchi to hai ankhon me lahu ki boonde
silsila milta to hai sheshe se paimaane ka....
har nafs umr guzshta ki hai mayyat fani,
zindagi naam hai mar mar ke jiye jane ka......

Misl-e-Khayaal aaye the aa kar chale gaye
Duniyaa hamaari Gham ki basaa kar chale gaye
Phoolo.n ki aas dil se lagaaye hue the ham
Kaante vo raste me.n bichhaa kar chale gaye
Aayi na thi hamaare chaman me.n bahaar abhi
Wo Khaab aashiyaa.N me.n lagaa kar chale gaye
Bhuule se bhi kabhi na dil ham bhulaa sake
Dil se hame.n vo apane bhulaa kar chale gaye
Fani Badayuni