Zindagi hum ne bata tera bigada kia hai
Har sitam hum pe rawa hai ye tamasha kia hai
Teri khushyon pe mera haq hi nahi jab koi
Phir bhala gham se mere tera bhi rishta kia hai
Bhuk jati hi nahi lakh jatan karta hun
Palne wale mera rizq se jhagda kia hai
Main to lut-ta bhi raha chain se sota bhi raha
Lootne wale bata tune kamaya kia hai
Main tere pyar ke qabil to nahi hun lekin
Soch mujhko bhi nafi karne se bachta kia hai
Log karte hain ebadat bhi tejarat ki tarah
Pahle ye sochte hain badle me milta kia hai
Ghar na masjid na sanam khana chale iske beghair
Shad kahne ko sabhi kahte hain paisa kia hai
Amin Shad

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gai Hogi
Janey Kis Kis Ke Ghar Gai Hogi
Dair Tak Woh Khafa Raha Mujh Se
Door Tak Ye Khaber Gai Hogi
Jis Taraf Woh Safer Pe Nikla Tha
Saari Rounaq Udher Hi Gai Hogi
Ye Taalluq Na Nibh Saka Us Se
Ya Tabiyat Hi Bhar Gai Hogi
Teri Pal Bhar Ki Dil-Lagi Mohsin
Us Ko Barbaad Kar Gai Hogi

Usay Apne Dard Ki Fikr Thi
Jo Mera Waaqif-e-Haal Tha
Woh Jo Us Ki Subh-e-Arooj Thi
Wo Mera Waqt-e-Zawaal Tha
Mera Dard Kaisay Wo Jaanta ?
Meri Baat Kaisay Wo Maanta
Wo To Khud Fanaa Ke Safr Main Tha
Usay Rokna Hi Muhaal Tha
Kahan Jaao Gey Mujhe Chor Kar ?
Main Yeh Pooch Pooch Kar Thak Gaya
Woh Jawab Mujhko Na De Saka
Woh To Khud Sarapaa Sawaal Tha
Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi
Mere Lab Par Koi Gilaa Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Dia
Jisay Guftgoo Main Kamaal Tha !

Aey mere hamnasheen, chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baat hoti gulon tak to seh lete ham
Ab to kaanto pe bhi haq hamara nahi
Di sada daar par aur kabhi toor par
Kis jagah maine tumko pukara nahi
Thokren yun khilane se kya fayda
Saaf keh do ke milna gawara nahi
Aaj aaye ho tum kal chale jaoge
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umar bhar ka sahara bano toh bano
Do ghadi ka sahara, sahara nahi
Gulistan ko lahu ki zaroorat padi
Sabse pehle hi gardan hamari kati
Phir bhi kehte hain mujhse ye ehal-e-chaman
Ye chaman hai hamara tumhara nahi
Zaalimo apni qismat par naaza na ho
Duar badlega ye waqt ki baat hai
Vo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai hamara nahi

Benaam Sa Ye Dard Theher Kyon Nahi Jaata!
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata!
Sab Kuch To Hai Kya Dhundti Hai Nigahein,
Kya Baat Hai Suraj Wakt Par Ghar Kyon Nai Jaata!
Wo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahan Mein,
Jo Door Hai Wo Dil Se Utar Kyon Nahi Jaata!
Main Apni Hi Uljhi Hui Raahon Ka Tamasha,
Jaate Hai Jidhar Sab Man Udhar Kyon Nahi Jaata!
Wo Naam Jo Na Jane Kab Se Na Chehre Na Badan Hai,
Wo Khwab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jaata!!!

MANZIL NA DE CHIRAGH NA DE HONSLA TO DE
TINKE KA HI SAHI TO MAGAR AASRA TO DE
MEINE YEH KAB KAHA KE MERE HAQ MEIN HO JAWAB
LEKIN KHAMOSH KIUN HAI TU KOI FAISLA TO DE
BARSON MEIN TERE NAAM PE KHATA RAHA FAREB
MERE KHUDA KAHAN HAI TU APNA PATA TO DE
BESHAK MERE NASEEB PE RAKH APNA EKHTIYAR
LEKIN MERE NASEEB MEIN KYA HAI BATA TO DE
MANZIL NA DE CHIRAGH NA DE HONSLA TO DE
TINKE KA HI SAHI TO MAGAR AASRA TO DE

Aap se milke hum kuch badal se gaye
Sher padhne lage, Gungunane lage
Pehle mashoor thi apni sanjeedgi
Ab to jab dekhiye muskurane lage
Hum ko logon se milne ka kab shauq tha
Mehfilazayi ka kab humein zauq tha
Aap ke vaaste humne yeh bhi kiya
Milne-julne lage, aane jaane kage
Humne jab aapki dekhi dilchaspiyaan
Aa gayi chand hum mein bhi tabdeeliyaan
Ek Musabbir se bhi ho gayi dosti
Aur Ghazlein bhi sunne-sunane lage
Aap ke baare mein pooch baitha koi
Kya kahein humse kya bad hawa-si huyi
Kehne waali jo thi baat woh na kahi
Baat jo thi chupani batane lage
Ishq beghar kare, ishq bedar kare
Ishq ka, sach hai, koi thikana nahin
Hum jo kal tak thikane ke the aadmi
Aapse milke kaise thikane lage
Pehle mash-hoor thi apni sanjedgi.
Ab to jab dekhiye muskurane lage.
Sher padhne lage, muskurane lage
Pehle mashoor thi apni sanjeedgi.
Ab to jab dekhiye muskurane lage.
Aap se milke hum kuch badal se gaye.

Urdu Script

آپ سے ملکے ہم کچھ بدل سے گئے
شعر پڑھنے لگے، گنگنانے لگے

پہلے مشہور تھی آپنی سنجیدگی
اب تو جب دیکھیے مسکرانے لگے

ہم کو لوگوں سے ملنے کا کب شوق تھا
محفل آذائی کا کب ہمیں ذوق تھا

ملنے جلنے لگے، آنے جانے لگے۔
ہمنے جب آپ کی دیکھی دلچسپیاں

آ گئی چند ہم میں بھی تبدیلیاں
ایک مصور سے بھی ہو گئی دوستی

اور غزلیں بھی سننے سنانے لگے
آپ کے بارے میں پوچھ بیٹھا کوئی

کیا کہیں ہم سے کیا بد ہوا سی ہو گئی
کہنے والی جو تھی بات وہ نہ کہی

بات جو تھی چھپانی بتانے لگے
عشق بے گھر کرے، عشق بیدار کرے

عشق کا، سچ ہے، کوئی ٹھکانا نہیں
ہم جو کل تک ٹھکانے کے تھے آدمی

آپ سے ملکے کیسے ٹھکانے لگے
پہلے مشہور تھی آپنی سنجیدگی

اب تو جب دیکھیے مسکرانے لگے
شعر پڑھنے لگے، مسکرانے لگے

پہلے مشہور تھی آپنی سنجیدگی
اب تو جب دیکھیے مسکرانے لگے

آپ سے ملکے ہم کچھ بدل سے گئے

mUhabbat Ka Dhuwaan AankhOn Mein Paani ChOr jAta hAi
Kisi RaStay Say Ghum Guzray NiShaani ChOr jAta hAi
wO Jitni Bhi Baar Milta hAi PehChana Nahien KaRta
Magar AankhOn Mein TaSveerien Puraani ChOr jAta hAi
Isii Ba'aiss tO hUm Be-Sakhta HanSnay Say Dartay hAin
Kabhi Ka QehQa Bhi nOha Khwaahii ChOr jAta hAi
hUmari GuftagOo Sey Bhi wO Qaiyel Nahi hOta
Aur Apni KhamShii Kay Bhi Ma'anii ChOr jAta hAi
BharOsa Jis Pay hO Us Say Tawaqa kOii Mat Rakhna
Yahii Eik Saiyebaan Be-SaayeBaani ChOr jAta hAi
BiChar Kar Bhi hUm Aisay Shakhs Say BiChra Nahi Kartay
jO Aik FiQra Ada Kar Kay Kahaanii ChOr jAta hAi
"Muzafar" mOat Bhi Kum Khub-SOorat tO Nahien hOgi
jO Is Ko Dekhta hAi Zindgaanii ChOr jAta hAi

Hum ne kab seekha mohabbat me tejarat ka hunar
Usne duniya ko magar shart-e-wafa rakkha tha
Be wafai ka gilaa un se kahaN tak karte
Marzii-e-rab ko sipar jis ne bana rakkha tha
Dil ke dar per koi aahat koi dastak bhi na thi
Us ne yaadoN ko jo pahray pe bitha rakkha tha
Hum safar maan ke usko main safar karta raha
Us ne rahbar mujhe manzil ka bana rakha tha
Shama-e-ulfat pe hamaine fakhr tha lekin
AandhiyoN ne koi mansooba bana rakha tha
Neyaz Alam

uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
khub parda hai ke chilman se lage baithe hain
saf chupate bhi nahin samane ate bhi nahin
ho chuka qata ta’lluq to jafayen kyon hon
jinko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin
zist se tang ho ae Dag to jite kyon ho
jan pyari bhi nahin jan se jate bhi nahin
[recaptcha_form]