Hum Tere Shahar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De
Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De
Apni Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Jugnu Main ne
Apni PalkoN Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Main ne
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De
Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De
Bhulna Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De
Qaiser ul Jafri

Tumhare shahar kaa mausam baDaa suhana lage
Main ek shaam churaa luN agar buraa na lage
Tumhare bas men agar ho to bhool jaao hamen
Tumhen bhulane men shaayad mujhe zamaana lage
Hamaare pyar se jalne lagi hai ye duniyaa
Duaa karo kisi dushman ki badduaa na lage
Na jaane kyaa hai us kii bebaak aaNkhon men
Vo muuNh chhupaa ke jaaye bhii to bewafaa na lage
Jo Duubanaa hai to itane sukun se Dubo
Ke aas paas ki laharon ko bhi pata na lage
Ho jis adaa se mere saath bevafaai kar
Ke tere baad mujhe koi bewafaa na lage
Vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
Khudaa kare unhen baazaar ki havaa na lage
Tum aaNkh muund ke pi jaao zindagi 'Qaiser'
Ke ek ghuuNT men shaayad ye badmazaa na lage
Qaiser-ul-Jafri