DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum
main hairat o hasrat ka mara KHamosh khaDa hun sahil par
dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum
ho jae bakheDa pak kahin pas apne bula len behtar hai
ab dard-e-judai se unki ai aah bahut betab hain hum
ai shauq bura is wahm ka ho maktub tamam apna na hua
wan chehre pe un ke KHat nikla yan bhule hue alqab hain hum
ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula
hum men hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum
lakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do ek
ai ahl-e-zamana qadr karo nayab na hon kam-yab hain hum
murghan-e-qafas ko phulon ne ai shad ye kahla bheja hai
aa jao jo tumko aana ho aise men abhi shadab hain hum