justujuu jis kii thi us ko to na paaya ham ne
is bahaane se magar dekh li duniyaa ham ne
sab kaa ahvaal wahi hai jo hamaara hai aaj
ye alag baat ki shikwa kiyaa tanhaa ham ne
KHud pashiimaan hue ne use sharminda kiyaa
ishq kii vaz.a ko kyaa KHoob nibhaaya ham ne
kaun saa qahr ye aa.nkho.n pe hu.aa hai naazil
ek muddat se koi KHwab na dekhaa ham ne
umr bhar sach hi kahaa sach ke siwa kuchh na kaha
ajr kya is kaa milegaa ye na sochaa ham ne

ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Ghubaar hi Ghubaar hai
har ek jism rooh ke azaab se niDhaal hai
har ek aa.nkh shabnami har ek dil figaar hai
hame.n to apne dil ki dhaDkano pe bhi yaqin nahin
KHoshaa vo log jin ko duusro.n pe aitbaar hai
na jis kaa naam hai koi na jis ki shakl hai koi
ik aisi shai kaa kyun hamen azal se intizaar hai