Aaj ke daur men aiy dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath men patthar kyuN hai
jab haqiqat hai ke har zarre men tu rahtaa hai
phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyuN hai
apnaa anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron men har insaan sikandar kyuN hai
zindagi jine ke qaabil hi nahin ab "Faakir"
varnaa har aaNkh men ashkon kaa samandar kyuN hai
By : Sudarshan Faakir

Us mod se shuru karen phir ye zindagi
Har sham jahan hasin thi, hum tum the ajanabi
Lekar chale the hum jinhen jannat ke khwab the
Phoolon ke khwab the wo muhabbat ke khwab the
Lekin kahan hai un mein wo pahli si dilkashi
Rahte the hum hasin khayalon ke bheed mein
Uljhe hue hain aj sawalon ke bheed mein
Aane lagi hai yaad wo fursat ke har ghadi
Shayad ye waqt hum se koi chaal chal gaya
Rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya
Ashkon ke chandani se thi bahatar wo dhup hi
By : Sudarshan Faakir
 
MP3 Play - Listen ghazal online
[sc_embed_player fileurl="http://www.urdu-shayari.in/mp3/us-mode-se-shuroo.mp3"]