Mohabbat ko bhare bazaar Mein Rusva kiya tune
Aey Saudagar Mere dil ke Yeh kya sauda kiya tune

Mohabbat ko bhare bazaar Mein rusva kiya tune
Aey saudagar mere dil ke Yeh kya sauda kiya tune

Yeh kaisi teri khudgarzi Suni Na dil ki ik arzi
Mere aasun na dekhe tu Teri marzi teri marzi

Teri marzi teri marzi Yeh kaise teri khudgarzi
Yeh kaise teri khudgarzi

Main saanh saanh haari haari Main rull diyan maari maari
Main saanh saanh haari haari Main rull di maari maariyan

Diya jo zakm bhi tune Hara hai woh sila hi nahi
Mohabbat ja tujhe chhoda Mujhe tujhse gila hi nahi

Mujhe bus door jana hai Tere dil se nigahon se
Guzarna hi nahi mujhko Teri galiyon se raahon se

Teri manzil bhi jhooti hai Tere sab khaab hain khote
Teri raahein farebi hain Tere raste sabhi farzi

Teri marzi teri marzi Teri marzi teri marzi
Suni na dil ki ik arzi Yeh kaisi teri khudgarzi

Main takk takk haari haari Main tere utton vaari vaari
Main takk takk haari haari Main tere utton vaari vaariyan

Teri chaukhat pe rakha tha Jala kar dil bhujha to nahi
Tere daaman se lipta tha Mera aansu gira to nahi

Tera saaya mere aage Meri aawaz pichhe hai
Tera dil koi patthar hai Meri jaan iske neeche hai

Meri saansein mujhe de de Khudara mujhko jeene de
Meri fariyaad sun le tu Kabhi sun le meri arzi

Teri marzi teri marzi Teri marzi teri marzi
Yeh kaisi teri khudgarzi Mere humdard bedardi

 

English Script

Humne Aankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Phool khilte hein Padh kar ke Salle Ala
Jhoom kar keh rahi hai ye Baage Saba
Aesi Khushbu Chaman ke Ghulon mein kahan
Jo Nabi ke Pasine mein Maujud hai

Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai

Hamne maana ke Jannat bahot hai haseen
Chhod kar Ham Madina na jayein kahin
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahin
Aur Jannat Madine mein Maujud hai

Hum Ne Ankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasveer Sine Me Moujood Hai
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya
Wo Muhammad Madine mein Maujud hai


Hindi Script

हमने आँखों से देखा नहीं है मगर उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है

जिसने लाकर कलामे इलाही दिया वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है

 

फूल खिलते हैं पढ़ कर के सल्ले आला झूम कर कह रही है ये बागे सबा

ऐसी खुशबू चमन के फूलों में कहाँ जो नबी के पसीने में मौजूद है

 

हमने आँखों से देखा नहीं है मगर उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है

जिसने लाकर कलामे इलाही दिया वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है

 

हमने माना कि जन्नत बहुत है हसीन छोड़ कर हम मदीना न जाएं कहीं

यूँ तो जन्नत में सब है, मदीना नहीं और जन्नत मदीने में मौजूद है

 

हमने आँखों से देखा नहीं है मगर उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है

जिसने लाकर कलामे इलाही दिया वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है


 

humne aankhon se dekha nahi hai magar lyrics

Bata Kiya Kya Tune Mere Liye

Mere Rab Ki Mujh Per Inayat Hui

Kahoon Bhi To Kese Ibadat Hui

Haqeqat Hoi Jese Mujh Per Ayaan

Qalam Ban Gya Hai Khuda Ki Zuban

Mukhatib Hai Banday Se Parwardigar

Tu Husn e Chaman Tu He Rang e Bahaar

Tu Miraj e Fun Tu He Fun Ka Singhar

Musavvir Hoon Mein Tu Mera Shahkaar

Ye Subhey Ye Shamey Ye Din Or Raat

Ye Rangeen Dilkash Haseen Kainat

Ke  Huroon Malaik O Jinnat Mein

Kiya Hai Tujhy Ashrafulmakhluqat

Meri Azmatoon Ka Hawala Hai Tu

Tu Hi Roshni Hai Ujala Hai Tu

Farishtoon Se Sajda Bhi Karwa Diya

Ke  Tere Liye Mein Ne Kiya Na Kia

Ye Dunai Jahaan Bazm Arayiaan

Ye Mehfil Ye Mele Ye Tanhayiaan

Falak Ka Tujhy Shamyana Dia

Zameen Per Tujhy Aabo – Daana Dia

Mile Aabsharoo Se Bhi Hoslen

Pahadoo Mein Tujh Ko Diye Rastay

Ye Pani Hawa Or Shams O Qamar

Ye Moj e Rawa Ye Kinara Bhanwar

Ye Shakhon Pey Ghunchay Chataktay Howey

Falak Pey Sitarey Chamaktay Howay

Ye Sabzay Ye Pholoon Bhari Kiyariyaan

Ye Panchi Ye Udti Hui Titliyaan

Ye Shola Ye Shabnam Ye Mitti Ye Sang

Ye Jharnon Kay Bajtay Hue Jal Tarang

Ye Jhilon Mein Haste Hue Se Kanwal

Ye Dharti Pey Mosam Ki Likhi Ghazal

Ye Sardi Ye Garmi Ye Barish Ye Dhoop

Ye Chehra Ye Qad Or Ye Rang o Roop

Darindoon Charindoon Pe Qaboon Diya

Tujhy Bhai De Kar Ke Bazoon Diya

Behan Di Tujhy Or Shareek e Safar

Ye Rishtay Ye Natay Ye Gharana Ye Ghar

Kay Aulaad Bhi Di …Diye Waledain

Alif Laam Meem Qaaf Or Aeen Gain

Ye Aqal o Zahanat Shaoor o Nazar

Ye Basti Ye Sehra Ye Khushki Ye Tar

Or Us Per Kitabain Hidayat Bhi Di

Nabi Bhi Utare Shariyat Bhi Di

Garaz Ke Sabhi Kuch Hai Tere Liye

Bta Kya Kiya Tune Mere Liye

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai