Ilm ne mujh se Kaha Ishq hai diwana-Pan
Ishq ne mujh se Kaha Ilm hai takhmeen-o-Zan
Band-e-takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi na ban
Ishq sarapa huzoor, Ilm sarapa hijab!
Ishq ki garmi se hai maarka-e-kainat
Ilm maqam-e-Sifat, Ishq tamasha-e-zaat
Ishq sukoon-o-sabat,Ishq hayat-o-mamat
Ilm hai paida sawal, Ishq hai Pinhan jawab!
Ishq Ke hain maujazat saltanat-o-faqr-o-Deen
Ishq Ke adna gulam sahib-e-taj-o-nageen
Ishq makan-o-makeen, Ishq zaman-o-zameen
Ishq sarapa yaqeen, aur yaqeen fatah-e-bab!
Shara-e-mohabbat mein hai Ishrat-e-manzil haraam
Shorish-e-toofan halal, lazzat-e-sahil haraam
Ishq pe bijli halal, Ishq re hasil haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!
 
Allama Iqbal

Writer