hath Khaali hain tere shahar se jate jate
jaan hoti to meri jaan luTate jate
ab to har hath ka patthar hamen pahchanta hai
umr guzri hai tere shahr men aate jate
ab ke mayus hua yaron ko ruKHsat kar ke
ja rahe the to koi zaKHm lagate jate
rengne ki bhi ijazat nahin hum ko warna
hum jidhar jate nae phul khilate jate
main to jalte hue sahraon ka ek patthar tha
tum to dariya the meri pyas bujhate jate
mujhko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad
log hanste hain mujhe dekh ke aate jate
humse pahle bhi musafir kai guzre honge
kam se kam rah ke patthar to haTate jate

Writer