Cheen-o-arab hamara Hindustan hamara
Muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
Tauheed ki amanat sino me hai hamare
Asaan nahi mitana nam-o-nishan hamara
Dunia k butkadon me pahla wo ghar khuda ka
Hum uske pasbaan hain wo pasbaan hamara
TeGhon ke saaye me hum palkar jawaan hue hain
Khanjar helal ka hai qaumi nishaan hamara
MaGhrib ki wadiyon me gunji AZAAN hamari
Thamta na kisi se sail-e-rawan hamara
Baatil se dabne wale aiy asmaan nahi hum
Sau bar kar chuka hai tu imtihaan hamara
Aiey gulistaan-e-undlas wo din hai yaad tujhko
Tha teri daaliyon par jab aashiyaan hamara
Aiey mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai humko
Abtak hai tera darya afsaan khaan hamara
Aiey arz-e-pak teri hurmat pe kat mare hum
Hai khun teri ragon me abtak rawaan hamara
Salaar-e-karwaan hai meer-e-hejaaz apna
Is naam se hai baqi aram-e-jaan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dra hai goya
Hota hai jada paimaa phir karwaan hamara

Writer