hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

hain daur-e-jam-e-avval-e-shab men khudi se duur 
hoti hai aaj dekhiye ham ko sahar kahan 

ya rab is ikhtilat ka anjam ho ba-khair 
tha us ko ham se rabt magar is qadar kahan 

ik umr chahiye ki gavara ho nish-e-ishq 
rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan 

bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka 
khat ka mire javab hai ai nama-bar kahan 

kaun o makan se hai dil-e-vahshi kanara-gir 
is khanuman-kharab ne DhunDa hai ghar kahan 

ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hi kuchh aur 
aalam men tujh se laakh sahi tu magar kahan 

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki 
dil chahta na ho to zaban men asar kahan 

'hali' nashat-e-naġhma-o-mai DhunDhte ho ab 
aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahan