Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

Agar milna nahin mumkin to Lehron per qadam rakh kar,
Abhi darya-e-ulfat ke kinaary baant lety hain.

Meri Jholi mein jitne bhi wafa ke phool hain unko,
Ikathay beth kar saare ke saare baant lete hain.

Mohabat ke ilawa pass apne kuchh nahin ab to 'FAIZ'
Isi daulat ko Hum qismat ke maarey bant lete hain.