Bahadur Shah Zafar

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

uski aankhon ne KHuda jaane kiya kya jadu
ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKHsar ne kis ke hai tujhe chamkaya
tab tujh men mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi

ab ki jo rah-e-mohabbat men uThai taklif
saKHt hoti hamen manzil kabhi aisi to na thi

pa-e-kuban koi zindan men naya hai majnun
aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi

nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil
wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigaDta hai zafar se har bar
KHu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na bnayaa hota
yaa meraa taaj gadaayaa na bnaayaa hota

Khaak_saarii ke liye garche bnayaa thaa mujhe
kaash Khaak-e-dar-e-jaanaa.N na bnayaa hota

nashaa-e-ishq kaa gar zarf diyaa thaa mujh ko
umr kaa tang na paimaanaa banaayaa hotaa

apnaa divanaa bnayaa mujhe hotaa tuune
kyo.n Khirad_mand banaayaa na banaayaa hotaa

sholaa-e-husn chaman me.n na dikhayaa us ne
varanaa bul_bul ko bhii paravaanaa banaayaa hotaa

roz-e-mamuuraa-e-duniyaa me.n Kharaabii hai 'Zafar'
aisi basti se to viraanaa bnayaa hota

Bahadur Shah Zafar

Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein
Kiski Bani Hai Aalam-E-Napaydaar Mein

Keh Do In Hasraton Se Kahin Aur Ja Basein
Itni Jageh Kahan Hai Dil-E-Daagdar Mein

Umr-E-Daraaz Mang Kar Laye The Chaar Din
Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein

Kitna Hai Badnaseeb Zafar! Dafan Ke Liye
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kooye-E-Yaar Mein

Bahadur Shah Zafar