"Bay Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Main Ishq""Aqal Hay Mehew-e-Tamashaye Lab-e-Baam Abhi"
-------------------------
Ishara to madad ka hi kr rha tha doobne wala, Mager Yaraan-e-sahil nay salam-e-alwida samja.!
------------------------
baatil ke eqtedaar me hai insaaf ki arzoo... kitna haseen fareb hai jo khaye hue hain hum
------------------
is ped se kisi ko shikayat na thi magar Ye ped sirf bich me ane se cut gya
Ek ishq hi ilaaj gam-e-zindagi nahi, Duniya aor bhi hai taqaze hayaat k.
---------- Sajda-E-Shukar Baqi tha, Shukar Ki na Mili Mohlat... K Umar Beet Gaee "Ya RaB" Tere Ehsaan GintE-GintE ----------- Utha Ke Aidiaan Chalne Se Qad Nahi Badhta... Keh do Mere Raqeeb Se Ki Apni Auqaat Me Rahe...... -------- Zindagi bhar sath dene ki qasam khao na tum MaiN ne saayeon ko bhi dekha hai juda hotay huey -------- Kabi Jo Ghabra Jao Dunia Ki Vehshaton Sey Humen Awaaz De Lena Akele Hum Bi Hote Han! ---------
Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta, Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,
Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae, kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,
Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen, Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,
Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna, K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta. ------------- Perveen Shakir: Abhi kamsin ho, rehne do, kahin kho do gey dil mera, Tumhare he liye rakha hai, ley jana jawaan ho kar....
Mohsin Naqvi: Na kamsin hon, na nadaan hon, mohabbat ko samajhta hon, Tmhara kia bharosa hai, mukar jao jawan ho kar...
---------------- Usse bichar kar baqi to sab theek hai lekin.. jahan dil tha kabhi pehle wahan ab dard rehta hai...!!! ------------- Alwida kehtay huay jab maine us say maangi koi nishani Wo muskura k boli k meri judai he kaafi hai tujhay rulanay k liye ----------- Anaa kehti ha , bar bar mujh se woh muhabbat he kia ? jo iltija se mile ----------- Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Me Rehna Kisi K Pas Rehny Ka Tareeqa Ho To Aesa Ho.......! ----------- Karni ho mohabbat to phir sochaa nahi karte, Anjaam ho jaisa bhi ye dekha nahi karte ... !
Himmat na ho ladne ki to Aye jaan-e-wafaa sun, Yun ishq ke maidan main utra nahi karte ... !! ... ... Hote hain khuddar wohi log jahan mein,,,,,,,, Jo mar jate hain magar apne PYAR se dhoka nahi karte ... ------------- Mein or us ko bhool jaon,kaisi batain kertay ho Soorat to phir soorat hay,wo naam b pyara lagta hai ..... -------
****************
Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz” Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………
****************
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne, Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
****************
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga
*****************
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa “faraz” Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna…
***************
Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
****************
Tu idhar udhar ki na baat kar, yeh bata k qaafla kion luta Mujhay rehzano'n say gila nahi,Taire rehbari ka sawal hai
Firaq Jalalpuri
****************************
Arz e gham karte bhi to kya, haal sunate kaise Guftagu aap ne markooz fiqa par rakkhi Is se pahle K karun kam nigahi ka shikwa Usne tohmat meri be-bak nigah par rakkhhi
Mozaffar Hanfi
******************
Pasbaani pe andhere ko to ghar par rakkha Aur chiraghoN ko teri raahguzar par rakkha
Parveen Shakir
*************************************
mery hathoon main jo hota sooraj ka nizaam tumhari rahoon main kabhi dhoop na anay detaa *************************************** Dil Gumsum, Zuban Khamosh Yeh Aankhen Aj Num Kyun Hai Jinhe Kabhi Paya Hi Na Tha Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyun Hai ***************************************** zebt-a-gum koi asan kam nahe hai FARAZ aag hoty hain wo anso jo piay jaty hain *********************************** Adab ki baat hai warna aye Doost zara sochoo too Jo Shakhas suntaa hoo woo bool bhi saktaa hai..... ************************************************ aik naam kia likha tera sahil ki rait perr phir umer bhar samndar say meri dushmani rahi ************************************************ wo muj say kaheen bar k museebat main tha "Mohsin" reh reh k magar us ka DILASA mujay dayna....! *********************************************** zikar us gharatat e marium jab aata ha faraz ghantian bagee hain lafzoon ka kaleesaoon main **************************************** haath uljhay huye resham mai phansa baithey hain ab bata kaun se dhagay ko juda kis se karain ******************************************* aap berham hi sahi baat to karlain hum se kuch na kehnay se muhabbat ka gumaan hota hai ******************************************* bholay se muskura to diye they woh aaj faiz mat pooch walwalay dil nakardah kaar k ***************************** tum takullluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz dost hota nahi hur haath milane waala **************************************** Teri Kam Goi Kay Charchey Hein Zamanay Bhar Main ... Kis Say Seekha Hay You Baaton Ki Wazahat Karna ... ******************************* AANKHEN KHULI TO JAAG UTHEEN HASRATEIN TAMAM LO UNKO B KHODIYA JINHEN PAYA THA KHUWAB MAIN **************************************** kasa e deed me bus ek jhalak ka siqa hum faqeeron ki qanaat se tujhay dekhtay hain ********************************************* Nahi hai taj - shahi ki zarooorut meri maa ka mujhe saaya bohut hai ***************************************** Lipta Hua Kohar Mein Jaisy Khizaa'n Ka Chaand Mailey Libaas Mein Bhi Woh Pyara Bohat Laga ***************************************** Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri ************************************** Bana kar gariboo ka hum bhes galib Tamasha-e-ahel-e-karam dekhte hain. ************************************* Jin se milkar zindagi se pyar hojaye wo log Aapne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain
************************************************* or kuch nahi hota to bhari barish main tujh se bichhrey huye raston pe safar karti hun ************************************************* ik tarz e taghaful hai so woh tum ko mubarak ho ik arz e tamanna hai so woh hum kartey rahain gay ************************************************* main zindagi se na khul saka is liye mohsin k bahtey paani pe kab talak eitebaar karta ************************************************** Khataein daikhta b hai wafain kum nai krta, samjh kuch nai atta k wo shaqz itna meherban kiun hai??. *************************************************** meray hathon ki lakeero k izafay hy gawah k ma ne pather ki tarah khud ko tarasha hy buht ***************************************** tAaroof k lie apne bus yahi aik baat kaafi hai woh rusta chhor dete hain jo rusta aam hota hai ******************************************************* Ma'r bhee jaon tu kahan laug bhula hee dain gai... Lafz mairay, mairay honay kee gawahee dain gai... ****************************************** Kiya maza daitii hay bijlee ki chamak mujhko Ali Mujh say Liptay hain meray naam say darnay walay ******************************************* zinda rehnay k liye zeest ki koi aas to ho warna be-aas jeena to giraa.n hota hai
*******************************************
Sakoon e dil k liye main kahaN kahaN na gayi
Magar yeh dil k sadaa us ki anjuman mein raha
Perveen Shakir
*******************************************
Agar wo puch len hum se tumhe kis bat ka gham hai
to phir kis bat ka gham hai agar wo puch len hum se
*******************************************
Phir unki gali me jayega, phir sahav ka sajda karlega
Is dil per bharosa kon kare her roz musalman hota hai
**********************************************
Khaamosh aay dil bhari mehfil main chillana nahi achaa Adab pehla qareena ha mohabbat k qareenon main
Allama Iqbal
**********************************************
Yahan mazdoor ko marnay ki jaldi yoon bhi ha mohsin Ky zindage ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaay
**************************************************
Wo aaye ghar me.n hamaare Khudaa ki qudrat hai kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hai.n 
****************************
Wo saare phool se chehre talash-e-rizq mein gum hein
jinhein titli pakarna hai jinhein school jana hai
***************************
KAR BALA NAHI LEKIN JHOOT OUR SADAQAT MEIN
KAL BHI JUNG JAARI THI, AB BHI JUNG JAARI HAI