aata hay yaad mujhko guzra hua zamana
woh baagh ki baharein woh sabka chehchahana
aazadiyan kahan woh apnay ghoslay ki
apni khushi se aana apni khushi se jaana
lagti hay chot dil par aata hay yaad jis dam
shabnam kay aansuon par kaliyon ka muskurana
woh pyaari pyaari soorat woh kaamni si moorat
abaad jiskay dum say tha mera aashiyana
aati nahi sadaein uski mayray qafas mein
hoti mayri rihaai ay kaash mayray bus mein
kya badnaseeb hoon mayn ghar ko taras raha hoon
saathi to hain watan me mayn qaid mein parda hoon
aayi bahaar kaliyan phoolon kee hans rahi hain
mayn is andhayray ghar may qismat ko ro raha hoon
is qaid ka ilaahi dukhrda kisay sunao
dar hay yaheen qafas mein mayn gham say mar na jaon
jabse chaman chuta hay ye haal ho gaya hay
dil gham ko kha raha hay, gham dil ko kha raha hay
gaana isey samajh kar khush ho na sunne wale
dukhey hue dilon ki faryaad ye sada hay
azaad mujhko karday O qaid karnay walay
main bay-zabaan hoon qaidi tu chord kar dua lay
Allama Iqbal