zulm phir zulm hai baḌhta hai to miT jaata hai
ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkega to jam ja.ega
ḳhak-e-sahra pe jame ya kaf-e-qatil pe jame
farq-e-insaf pe ya pa-e-salasil pe jame
teġh-e-be-dad pe ya lasha-e-bismil pe jame
ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkega to jam ja.ega
laakh baiThe koi chhup-chhup ke kamin-gahon men
ḳhuun ḳhud deta hai jalladon ke maskan ka suraġh
sazishen laakh uḌati rahin zulmat ki naqab
le ke har buund nikalti hai hatheli pe charaġh
zulm ki qismat-e-nakara-o-rusva se kaho
jabr ki hikmat-e-parkar ke iima se kaho
mahmil-e-majlis-e-aqvam ki laila se kaho
ḳhuun divana hai daman pe lapak sakta hai
sho.ala-e-tund hai ḳhirman pe lapak sakta hai
tum ne jis ḳhuun ko maqtal men dabana chaha
aaj vo kucha o bazar men aa nikla hai
kahin sho.ala kahin na.ara kahin patthar ban kar
ḳhuun chalta hai to rukta nahin sanginon se
sar uThata hai to dabta nahin a.inon se
zulm ki baat hi kya zulm ki auqat hi kya
zulm bas zulm hai aġhaz se anjam talak
ḳhuun phir ḳhuun hai sau shakl badal sakta hai
aisi shaklen ki miTao to miTa.e na bane
aaise sho.ale ki bujhao to bujha.e na bane
aaise na.are ki dabao to daba.e na bane