Mujh se pahli si mohabbat, mere mahaboob, na maang
maine samajha tha ke tu hai to daraKshaaN hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dahar ka jhagaDa kya hai
teri surat se hai aalam meiN bahaaroN ko sabaat
teri aankhoN ke siwa duniya mein rakhaa kyaa hai
tu jo mil jaaye to taqadir nigon ho jaaye
youn na tha, main ne faqat chaahaa thaa youN ho jaae
aur bhi dukh hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
mujh se pehali si mohabbat, mere mahabuub, na maaNg
anginat sadiyoN ke taarik bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kimkhaab se saje jism
khaak meiN lithaDe hue khooN meiN nahalaaye huye
jism nikale hue amaraaz ke tanavvuroN se
pip bahati hui galate hue naasu=uroN se
laut jaati hai idhar ko bhi nazar kyaa kije
ab bhi dilakash hai teraa husn, magar kya kije
aur bhi gham hain zamaane meiN mohabbat ke siwa
raahateiN aur bhi haiN vasl ki raahat ke sivaa
mujh se pahali si mohabbat, mere mahabuub, na maaNg