teri har baat mohabbat men gawara kar ke
dil ke bazar men baiThe hain ḳhasara kar ke
aate jaate hain kai rang mere chehre par
log lete hain maza zikr tumhara kar ke
ek chingari nazar ayee thi basti men use
wo alag haT gaya andhi ko ishara kar ke
asmanon ki taraf phenk diya hai main ne
chand miTTi ke charaġhon ko sitara kar ke
main wo dariya hun ki har bund bhanwar hai jis ki
tum ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke
muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage
chand ko chhat pur bula lunga ishara kar ke
Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Jo lauh-e-azal men likhkha hai
Jab zulm-o-sitam ke koh-e-giran
Rooi ki tarah ud jaenge
hum mahkumon ke panv-tale
jab dharti dhad-dhad dhadkegi
aur ahl-e-hakam ke sar-upar
jab bijli kad-kad kadkegi
jab arz-e-khuda ke kaabe se
sab but uThvae jaenge
hum ahl-e-safa mardud-e-haram
masnad pe biThae jaenge
sab taaj uchhale jaenge
sab takht girae jaenge
bas naam rahega allah ka
jo ghaeb bhi hai hazir bhi
jo manzar bhi hai nazir bhi
uTThega anal-haq ka naara
jo main bhi huun aur tum bhi ho
aur raaj karegi khalq-e-khuda
jo main bhi huun aur tum bhi ho
chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho
andheri raat tufani hawa TooTi hui kashti
yahi asbab kya kam the ki is par nakhuda tum ho
zamana dekhta hoon kya karega muddai ho kar
nahin bhi ho to bismillah mere muddaa tum ho
hamara pyaar ruswa-e-zamana ho nahin sakta
na itne ba-vafa ham hain na itne ba-wafa tum ho