wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
wo so.ne se kamtar, wo chaandi si miTTi
nazar men basaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
qadam jis zameen par rakhe hai.n nabi ne
wahan khol rakhe hai.n dar aasmaani
wo galiyan jahan chalte the mere aqaa
wahan dil bichaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
jo poochha nabi ne ki kuchh ghar bhi chho.Da
to Siddiq-e-akbar ne koni to paayaa
wahan na maal-o-daulat ki thi koi haqiqat
wahan dil lutane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
jo dekha hai roo-e-jamal-e-risalat
to bole ‘umar, mustafa jaan-e-rahmat
baDil aap se dhup thi magar ab
Gulami me aane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
jihaad-e-mohabbat ki aawaaz goonji
kaha hamza ne ye dulan se apni
ijaazat agar do to jaan-e-shahaadat
labon se lagaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
udhar deed-e-aqaa me.n har-dam taDapte
idhar har ghadi maa.n ki khidmat me.n rahte
uwais apni haalat bataate bhi kis ko
madine me.n jaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
sitam ka sabab koi poochhe to jaa kar
kahenge bilaag-e-naas muskara kar
ta.Dapte sikate hue ki khatair
mera jaan se jaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
sitaaron se ye chanda kehta hai har dam
khuDaa hum ko TUk-Do.n ka tolaa
ki phir roshni jaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
wo nanha sa asGar, wo dil raqa.D kar
yahi keh raha hai wo khatime men.n ro kar
ai baaba! mai.n paani ka pyaasa nahi hu.n
mera sar kataane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
jo bachche gaye bad me.n sab se chhup kar
jinho ne Lutaaya abu jahal ka sar
khuda ki qasam un ko dulha bana kar
gale se lagaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
wo aaqa ki masjid, wo aaqa ka gumbad
wo aaqa ki jaali, wo aaqa ka rauza
tasavvur me.n tasveer un ki bana kar
wahi.n Doob jaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
‘jaab kaifiyat aane lagti hai dil par
‘ajab bekhudi chaahat hoti hai dil par
madine ki jab chhe.D le koi baate.n
to naat’en sunaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
deewana ye mushk-o-hina ka nahi hai
koi ‘itr bhi dil ko bhaata nahi hai
mahakne ki khatir khaak ka paseena
badan pe lagaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
tujhe dekh kar muskuraaye jannat
tere qar taala ki chaaye jannat
kabhi dekh maa.n se keh kar, mera maa.n!
tera sar dabaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
jo dekhai hai aaqa ke qadmon ka pathar
to voh haqi dil ka bataaun, ai daftar!
kabhi sar pe rakh kar chalaa kar madine
kabhi sar jhukaane ko jee chahta hai
wo shehr-e-mohabbat jahan-e-mustafa hai.n
wahi.n ghar banane ko jee chahta hai
Wo shahr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar bananay ko ji chahta hai
Jahan se Muhammad ka guzra hua ho
Woh raasta chumnay ko ji chahta hai
Jahan unke qadmon ke nishan mil gaye ho
Woh mitti sajaday ko ji chahta hai
Wo masjid hai jis mein Nabi gaye honge
Wahan sar jhukanay ko ji chahta hai
Wo Roza hai jahan Arsh ka sayah hai
Wahan sar jhukanay ko ji chahta hai
Jo basti Madinay ki basti hai pyari
Wahan dil laganay ko ji chahta hai
Wo sheher-e-madina hai gulshan Nabi ka
Wahan khud mitanay ko ji chahta hai
Deep jis ka mahalat hi mein jale
Chand logon ki khushiyon ko le ke chale
Woh jo saaye mein har maslehat ke pale
Aisay dastoor ko, subah be-noor ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Main bhi khaif nahin takhta-e-dar se
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyar se
Kyun darate ho zindan ki deewar se?
Zulm ki baat ko, jahl ki raat ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Phool shakhoon pe khilne lage tum kaho
Jaam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak seenon ke silne lage tum kaho
Is khule jhoot ko, zehan ki loot ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Tum ne loota hai sadiyon hamara sukoon
Ab na hum par chale ga tumhara fusoon
Chara gar main tumhara nahin chara hoon
Jhoot ke qafle, zulm ke saathiyo
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah