Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Sooraj ke ujaale se, fazaon se khala se
Chaand aur sitaron ki chamak aur ziya se
Jangal ki khamoshi se, pahaaron ki ana se
Pehool samandar se, parsaar ghaata se
Bijli ke chamakne se, kadakne ki sada se
Mitti ke khazaanon se, anaajon se, ghiza se
Barsaat se, toofan se, paani se, hawa se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Gulshan ki bahaaron se, tu kaliyon ki haya se
Masoom si roti hui shabnam ki ada se
Lehrati hui baad sahar, baad subha se
Har rang ke har shaan ke phoolon ke quba se
Chiriyon ke chehakne se, to bulbul ki nawa se
Moti ki nazakat se, to heere ki jala se
Har shey ke jhalkte hue funkaar aur kala se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Duniya ke hawaadis se, wafaon se, jafa se
Ranj o gham alaam se, dardoon se, dawa se
Khushiyan se, tabassum se, mareezon ki shifa se
Bachon ki sharaarat se, to maon ki dua se
Neki se, ibaadat se, laghzish se, khata se
Khud apne hi sine ki dhadkane ki sada se
Wahdat teri har qaam pe deti hai dilaasa se

Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se

Iblees ke fitnon se, to Adam ki khata se
Ausaf-e-Ibrahim se, Yusuf ki haya se
Hazrat Ayyub ki tasleem o raza se
Esa ki Masihi se, Musa ke aasa se
Nimrod ke, Firaun ke anjaam-e-fana se
Kaaba ke taqaddus se, to Marwah aur Safa se
Taurat se, Injeel se, Quran ki sada se
Yaseen se, Taha se, Muzammil se, Naba se
Ek noor jo nikla tha kabhi Ghaar-e-Hira se

Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
Mairaj Ka Dulha Kaun Bana Jibreel-e-Amin Se Poocho

Kya Hai Tauqeer-e-Shah-e-Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho

Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho

Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho

Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho

Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Pata Kiya Puchta Hai Wo, Kitaabon Mei Milunga Main!
Kiye Maan Se Hain Jo Main Ne Ke Waadon Mei Milunga Main!

Main Aaney Wala Kal Hoon Wo Mujhe Kiyun Aaj Maare Ga,
Ye Uska Wehm Hoga Ke Wo Aesey Khwaab Maare Ga!

Tumhara Khoon Hoon Na Is Leye Acha Lara Hoon Main!
Bata Aaya Mai Dushman Ko Ke Us Se Tou Bara Hoon Main!

Mai Aisi Qoum Se Hoon Jis Ke Wo Bachon Se Darta Hai,
Bada Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai!

Wo Jab Aate Huwe Mujh Ko Galey Tum Ne Lagaya Tha,
Aman ALLAH Kaha Mujh Ko, Mera Beta Bulaya Tha!
Khuda Ke Amn Ki Raah Mei Kahan Se Agaya Tha Wo,
Jahan Tum Choomti Thi Maan, Wahan Tak Agaya Tha Wo!

Mai Aisi Qoum Se Hoon Jis Ke Wo Bachon Se Darta Hai,
Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai!

Mujhe Jana Para Hai Par Mera Bhai Karey Ga Ab,
Mai Jitna Na Parha Wo Sub Mera Bhai Parhey Ga Ab!
Abhi Baba Bhi Baaqi Han Kahan Tak Ja Sako Ge Tum,
Abhi Wada Raha Tum Se Yahan Na Aa Sako Ge Tum!

Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai!
Bara Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon Se Larta Hai!

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai