Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Ye Na-Abad Waqton Mein
Dil-e-Nashad Mein Hogi

Mohabbat ab Nahin Hogi
Ye Kuchh Din Baad Mein Hogi

Guzar Jaenge Jab Ye Din
Ye Un Ki Yaad Mein Hogi

Writer