Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Jo lauh-e-azal men likhkha hai
Jab zulm-o-sitam ke koh-e-giran
Rooi ki tarah ud jaenge
hum mahkumon ke panv-tale
jab dharti dhad-dhad dhadkegi
aur ahl-e-hakam ke sar-upar
jab bijli kad-kad kadkegi
jab arz-e-khuda ke kaabe se
sab but uThvae jaenge
hum ahl-e-safa mardud-e-haram
masnad pe biThae jaenge
sab taaj uchhale jaenge
sab takht girae jaenge
bas naam rahega allah ka
jo ghaeb bhi hai hazir bhi
jo manzar bhi hai nazir bhi
uTThega anal-haq ka naara
jo main bhi huun aur tum bhi ho
aur raaj karegi khalq-e-khuda
jo main bhi huun aur tum bhi ho

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai