zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
patthar ko guhar divar ko dar kargas ko huma kya likhna
ik hashr bapa hai ghar men dam ghuTta hai gumbad-e-be-dar men
ik shaḳhs ke hathon muddat se rusva hai vatan duniya-bhar men
ai dida-varo is zillat ko qismat ka likha kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain ai hamdam
miT ja.enge sab parvarda-e-shab ai ahl-e-vafa rah ja.enge ham
ho jaan ka ziyan par qatil ko ma.asum-ada kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
logon pe hi ham ne jaan vaari ki ham ne hi unhi ki ġham-ḳhvari
hote hain to hon ye haath qalam sha.er na banenge darbari
iblis-numa insanon ki ai dost sana kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
haq baat pe koḌe aur zindan batil ke shikanje men hai ye jaan
insan hain ki sahme baiThe hain ḳhunḳhar darinde hain raqsan
is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dava kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
har shaam yahan sham-e-viran aseb-zada raste galiyan
jis shahr ki dhun men nikle the vo shahr dil-e-barbad kahan
sahra ko chaman ban kar gulshan badal ko rida kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna
ai mere vatan ke fankaro zulmat pe na apna fan vaaro
ye mahl-saraon ke baasi qatil hain sabhi apne yaaro
virse men hamen ye ġham hai mila is ġham ko naya kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko ḳhuda kya likhna