tum ne jab zulf-e-pareshan ko sanvara hoga
sadqa-e-husn ghaTaon ne utara hoga
aap ki chashm-e-karam ka jo ishara hoga
auj par mere muqaddar ka sitara hoga
sang-dil tere bhi aansu nikal aa.e honge
Dubne vaale ne jab tujh ko pukara hoga
main ne ilzam ḳhushi se liye sab apne sar
aap badnam huun ye kis ko gavara hoga
kuchh to qismat ki hai sazish miri barbadi men
aur kuchh un ki bhi nazron ka ishara hoga
kya ġharaz us ko zamane ki ḳhushi se 'danish'
yaar ka ġham hi jise jaan se pyara hoga