Rahti hai bandagi me zarurat gunah ki
Insan warna apna parastar ho na jaye
Khilte hain dil mizah se jaise saba se gul
Lekin kahin ye tanz se talwar ho na jaye
Fursat mili jo takziya-e-nafs ke lye
Wo sarf-e-nukta chiniye aghyar ho na jaye
Daulat ne paya hai is zamane me ye urooj
Tahzeeb nazr-e-dirham-o-deenaar ho jaye