Udaas rut mein  basad ehtemaam  aagaye hain
In aaNsuoN ko  saleeqay tamaam aagaye hain

Agar  na laut ke aayeN  to yeh  samajh lenaa
K hum bhi jung-e-muhabbat mein kaam aagaye hain

Pukaarti hai hamain  saahiloN se aati hawaa
K likh ke ret pe, teraa jo naam aagaye hain

Ajeeb rog laga hum ko sair E mahfil ka
So maikaday ki taraf ek shaam aagaye hain

Bus ek hum hain sabhi darja-bandiyoN se paray
Wagarna bazm mein sab khaas o aam aagaye hain

Bahte daryaa meN utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha

Us se bichhRe to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha

Maan letaa huN tujhe hi manzil!!
Ab kahaaN yaad kidhar jana tha

Hausle ham ne bachakar rak_khe
Jab hameN had se guzar jana tha

Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!
Ek din yuN bhi to mar jana tha

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Wo mere ho ke bhi mere na hue
Unko apnaa bana ke dekh liya

Aj unki nazar meN kuchh hamne
Sabki nazreN bachaa ke dekh liya

Aas us dar se TuTti hi nahiN
Ja k dekha, na ja ke dekh liya

Faiz takmil E Gham bhi ho na saki
Ishq ko aazmaa ke dekh liya

tum apne aqidon ke neze 
har dil men utare jaate ho 

ham log mohabbat vaale hain 
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho 

is shahr men naġhme bahne do 
basti men hamen bhi rahne do 

ham palanhar hain phulon ke 
ham ḳhushbu ke rakhvale hain 

tum kis ka lahu piine aa.e 
ham pyaar sikhane vaale hain 

is shahr men phir kya dekhoge 
jab harf yahan mar ja.ega 

jab teġh pe lai kaT ja.egi 
jab sher safar kar ja.ega 

jab qatl hua sur sazon ka 
jab kaal paḌa avazon ka 

jab shahr khanDar ban ja.ega 
phir kis par sang uThaoge 

apne chehre a.inon men 
jab dekhoge Dar jaoge 

Mere hujre me nahi aur kahi par rakh do
Aasmaan laaye ho le aao zameen par rakh do

Maine jis taaq me kuch toote deeye rakhe hain
Chaand taaron ko bhi le jaake wahi par rakh do

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Ho wo jamuna ka kinaara ye koi shart nahi
Mitti mitti hi me rakhni hai kahi par rakh do

Muflis Jo Agar Tan Ki Qabaa Bech Raha Hai
Waaiz Bhi Mimbar Pe Dua Bech Raha Hai


Dono Ko Hai Dar-Pesh Sawaal Apne Shikam Kaa
Ek Apni Khudi, Ek Khudaa Bech Raha Hai.

Aisi Qaum se hoon jiske wo bachon se Darta Hai
Bada Dushman Bana Phirta Hai Jo Bachon se Ladta Hai

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon