Har koi dil ki hatheli pe hai sehraa rakhe, Kis ko sairaab kare kise pyaasa rakhe,
Umar bhar kon nibhaata hai taluq itna, Aye meri jaan ke dushman tujhe Allah rakhe,
Hum ko acha nahin lagta koi hum-naam tera, Koi tujh sa ho to naam bhi tujh sa rakhe,
Dil bhi pagal hai ke uss shakss se wabasta hai, Jo kisi aur ka hone de na apna rakhe,
Hanss na itna bhi faqeeron ke akele pan pr, Ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanhaa rakhe,
Yeh qanaat hai itaaat hai ke chahat hai Faraz, Hum to raazi hain woh jis haal main jesa rakhe..

Writer