mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

vo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish
vajud-e-ḳhak men atish-fishan jagati thi

bichha diya gaya barud us ke paani men
vo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi

sabhi durida-dahan ab badan-darida hue
supurd-e-dar-o-rasan saare sar-kashida hue

tamam suufi o salik sabhi shuyuḳh o imaam
umid-e-lutf pe aivan-e-kaj-kulah men hain

moazzazin-e-adalat bhi half uThane ko
misal-e-sail-e-mubarram nashista raah men hain

tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the
vo asman-e-hunar ke nujum samne hain

bas ik musahib-e-darbar ke ishare par
gada-garan-e-suḳhan ke hujum samne hain

qalandaran-e-vafa ki asaas to dekho
tumhare saath hai kaun as-pas to dekho

so shart ye hai jo jaan ki amaan chahte ho
to apne lauh-o-qalam qatl-gah men rakh do

vagarna ab ke nishana kaman-daron ka
bas ek tum ho so ghairat ko raah men rakh do

ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha
use ḳhabar nahin tariḳh kya sikhati hai

ki raat jab kisi ḳhurshid ko shahid kare
to subh ik naya suraj tarash laati hai

so ye javab hai mera mere adu ke liye
ki mujh ko hirs-e-karam hai na ḳhauf-e-ḳhamyaza

use hai satvat-e-shamshir par ghamanD bahut
use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza

mira qalam nahin kirdar us muhafiz ka
jo apne shahr ko mahsur kar ke naaz kare

mira qalam nahin kaasa kisi subuk-sar ka
jo ghasibon ko qasidon se sarfaraz kare

mira qalam nahin auzar us naqab-zan ka
jo apne ghar ki hi chhat men shigaf Dalta hai

mira qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq
jo be-charagh gharon par kamand uchhalta hai

mira qalam nahin tasbih us maballigh ki
jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai

mira qalam nahin mizan aise aadil ki
jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai

mira qalam to amanat hai mere logon ki
mira qalam to adalat mere zamir ki hai

isi liye to jo likkha tapak-e-jan se likha
jabhi to loch kaman ka zaban tiir ki hai

main kaT girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe
ki ye hisar-e-sitam koi to giraega

tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam
mere qalam ka safar raegan na jaega

sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin paai
tu qadd-e-sarv na biini o saya-paimai

Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Sooraj ke ujaale se, fazaaon se khhala se
Chaand aur sitaaron ki chamak aur ziya se
Jangal ki khamoshi se, pahaadon ki anaa se
Purhaol samandar se, pur israar ghataa se
Bijli ke chamakne se, kadakne ki sada se
Mitti ke khazaanon se, anaajon se, ghiza se
Barsaat se, toofaan se, paani se, hawa se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ataa se
Gulshan ki bahaaron se, to kaliyon ki hayaa se
Maasoom si roti hui shabnam ki adaa se
Lehraati hui baad-e-sahar, baad-e-sabaa se
Har rang ke har shaan ke phoolon ke qabaa se
Chidiyon ke chehakne se, to Bulbul ki nawa se
Moti ki nazaakat se, to heere ki jalaa se
Har shai ke jhalakte hue fankaar aur kala se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ataa se
Duniya ke hawaadis se, wafaaon se, jafaa se
Ranj-o-gham alam se, dardon se, dawaa se
Khhushiyan se, tabassum se, mareezon ki shifa se
Bachon ki sharaarat se, to maon ki dua se
Neki se, ibaadat se, laghzish se, khhata se
Khhud apne hi sine ki dhadakne ki sadaa se
Wahdat teri har gaam pe deti hai dilaasa se

Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se

Iblees ke fitno se, to Aadam ki khhata se
Ausaf-e-Ibrahim se, Yusuf ki haya se
Hazrat-e-Ayyub ki tasleem o raza se
Isa ki Masihai se, Musa ke asaa se
Namrood ke, Firaun ke anjaam-e-fana se
Kaaba ke taqaddus se, to Marwah aur Safaa se
Taurait se, Injeel se, Quraan ki sada se
Yaseen se, Taha se, Muzammil se, Nabaa se
Ek noor jo nikla tha kabhi Ghaar-e-Hira se

Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho
Mairaj Ka Dulha Kaun Bana Jibreel-e-Amin Se Poocho

Kya Hai Tauqeer-e-Shah-e-Umam Insan Se Ho Paye Na Raqam
Kya Farshe Zamin Kya Arshe Bari Sab Hai Aaqa Ke Zaire Qadam
Sultan e Madina Ka Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Jibril Se Rabne Farmaya Jannat Ki Sawari Lekar Jaa
Mehboob Se Ye Jaakar Kehde Abb Aake Kare Wo Sher Zara
Fir Kaise Hui Tamil e Khuda Jibril e Amin Se Poocho

Hai Mehwe Rahat Shah e Deen, Shasopanj May Hai Jibril e Amin
Bedar Kare Kaise Seh Ko, Ho Jaye Kahi Na Beadbi
Taazime Nabi Hoti Hai Kya Jibril e Amin Se Poocho

Paas Aake Rasool e Azam Ke Paoo Ke Janib Khade Hue
Taazim Baja Laye Pehle Fir Paoo Pe Noori Lab Rakh Ke
Talwo Ko Diya Hai Kyun Bosa Jibril e Amin Se Poocho

Aqsa May Sawari Jab Pohnchi Nabiyo Ki Jamaat Haazir Thi
Karne Ko Adaa Rab Ka Sajda Saf Basta Jamaat Khadi Hui
Hai Sharf e Imamat Kise Mila Jibril e Amin Se Poocho

Pohnche Aakhir Oos Manzil Per Jalte Hai Jahan Jibril Ke Par
Jibril Ruke Sarkaar Badhe Pohnche Hai Arsh e Azam Par
Mehman e Khuda Hai Kaun Bana Jibril e Amin Se Poocho

QAISER Hai Wahi Mehboob e Khuda Taha Yasin Hai Laqab Mila
Quran e Muqaddas Ne Unko Wa-rafana-laka-zikrak Hai Kaha
Khalique Ne Jo Baksha Hai Rutba Jibril e Amin Se Poocho

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai