Na main tum say umeed rakhoon dil nawazi ki,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say
Na meray dil ke dharkan larkharay Teri baaton say
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say
Tumhain Bhi koi Uljhan rokti hai paish qadmi say
Mujhey bhi log kehtay hain yeh jalway para-ay hain.
Meray humrah bhi ruswa-e-yan hain meray maazi ki
Tumharay saath bhi guzree hui raaton kay sa-ey hain.
Ta-Aruff rog ho jaey tau usska bhoolna behtar,
Ta-Alluq bojhe ban jaey tau uska torna acha.
Woh afsanaa jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ik khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi ban jayen hum dono