Us ka tow her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai
Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye hai apna sa lagay hai
hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai
mein us ki her aik baat ko kis terha na manoon
wo jhoot bhi bolay hai tow sachcha sa lagay hai
aik umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi kal ka sa lagay hai
itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai

Writer