Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara
Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara
Tauheed ki amanat senon main hai hamarey
Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara
Duniya kay bu't kadon main, wo pehla ghar Khuda ka
Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara
Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum
Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara
Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna
Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya
Hota hai jada paima, phir karwan hamara
Allama Iqbal

Writer