Chin-O-arab hamara hindustaN hamara
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara
Tauheed ki amanat sino main hai hamare
AasaN nahi mitana nam-O-nishaN hamara
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara
TeghoN k saaye main hum pal kar jawaN huye haiN
Khanjer helal ka hai Qoumi nishaN hamara
Maghrib Ki Wadiyon Main Goonji Azan Hamari
Thamta Na Tha Kisi Se Sail-e-Rawan Hamara
Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum
Sau bar kar chuka hai tu imtehaN hamara
Ai gulistan-E-undulus woh din hai yad tujh ko
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara
Ai mauj-E-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko
Ab tak tera darya afsaNa khwan hamara
Ai arz-E-pak teri hurmat pe kat mareN hum
Hai khooN teri ragoN main ab tak rawaN hamara
Salar-E-karwaN hai MIR-E-HEJAZ apna
Islam se hai baaqi aaram-E-jaN hamara
Iqbal ka tarana Baang-E-Dara hai goya
Hota hai zada paimaN phir karwaN hamara
Allama Iqbal

Writer