Ab ke tajdid-e-wafaa ka nahi imkaN janaN
Yaad kyaa tujh ko dilayeN tera paimaN janaN
Yun hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
Kis qadar jald badal jate hain insaN janaN
zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsaaN janaN
Dil ye kahta hai ki shayad ho fasurdaa tu bhi
Dil ki kya bat karen dil to hai nadaN janaN
Awwal-awwal ki muhabbat ke nashe yad to kar
Be-piye bhi teraa chehra tha gulistaN janaN
AaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
Rag-e-minaa sulag uThi ki rag-e-jaN janaN
Muddaton se ye alam na tavaqqo na ummiid
Dil pukare hi chala jata hai janaN janaN
Ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
Gam-e-dauraaN se juda hai Gam-e-janaN janaN
Ab ki kuchh aisi saji mahafil-e-yaraN janaN
Sar-ba-zanu hai koi sar-ba-girebaN janaN
Har koi apni hi aawaaz se kaaNp uThta hai
Har koi apne hi saaye se hirasaaN janaaN
Jis ko dekho Wahi zanjeer-ba-paa lagta hai
shahar ka shahar hua daaKhil-e-zindaaN janaaN
Ab tera zikr bhi shaayad hi Ghazal men aaye
Aur se aur huaa dard ka unwaaN janaaN
Ham ki ruThi hui rut ko bhi mana lete the
Ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijraaN jaanaaN
Hosh aaya to sabhi Khwaab the reza-reza
Jaise uDte huye auraaq-e-pareshaN janaaN
Ahmad Faraz

Writer