Kaha tha kis ne ke ahd-e-wafa karo us se
Jo yuN kiya hai to phir kyuN gila karo us se
Ye ahl-e-baz tunak hausla sahi phir bhi
Zaraa fasanaa-e-dil ibtida karo us se
Ye kyaa ke tum hi Gam-e-hijr ke fasane kaho
Kabhi to us ke bahane sunaa karo us se
Nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
Jo dil men hon wahi baaten kiya karo us se
'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kya hogaa
Yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

Writer