Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
Tu bhi dil se utar na jaye kahin.
Aaj dekha hai tujhe der k bad,
Aaj ka din guzar na jaye kahin.
Na mila kar udas logon se,
Husn tera bikhar na jaye kahin.
Aarzu hai k tu yahan aye,
Aur phir umr bhar na jaye kahin.
Ji jalata hun aur ye sochta hun,
Rayegan ye hunar na jaye kahin.
Ao kuch der ro hi len 'Nasir',
Phir ye dariya utar na jaye kahin.
Nasir Kazmi

Writer